Us bazm main muje nahi banati haya kiye
Baitha raha agar-chey ishare hua kiye
Baitha raha agar-chey ishare hua kiye
Dil he tu hai siyasat-e-darban se Dar gaya
Main aur jaun dar se tere bin sada kiye
Rakhata phirun hun Khirqa-o-sajjada rahan-e-mai
Muddat hoi hai dawat-e-ab-o-hawa kiye
Be-sarfa he guzarati hai, ho garche umr-e-Khizr
Hazarat bhi kal kahenge ki ham kya kiya kiye
Maqadar ho tu Khak se pochon ke ae laim
Tune wo ganj haye giranmaya kya kiye
Kis roz toh-matein na tarasha kiye adu
Kis din hamare sar pe na are chala kiye
Sohabat main Gair ki na padi ho kahin ye Khu
Dene laga hai bose bagair iltija kiye
Zid ki hai aur bat magar khu buri nahi
bhule se us ny saikadon wade-wafa kiye
'Ghalib' tumhi kaho ki milega jawab kya
Mana ki tum kaha kiye aur wo suna kiye
By: Mirza Assadullah Khan Galib
Kishmiish.com
#Kish-Miish-U-So-Much