Taskin Ko Ham Na Roen Jo Zauq-e-Nazar Mile | Mirza Galib Urdu Poetry

urdu poetry, shayari, mirza galib poetry, urdu poetry images, love shayari, urdu shayari, urdu gazals, love poetry, sad urdu poetry, best urdu poetry, romantic poetry, love urdu poetry, hindi shayari,

Taskin Ko Ham Na Roen Jo Zauq-E-Nazar Mile
Huran-E-Khuld Main Teri Surat Magar Mile

Apni Gali Main Mujh Ko Na Kar Dafn Bad-E-Qatal
Mere Pate Se Khalq Ko Kyun Tera Ghar Mile

Saaqi Gari Ki Sharm Karo Aaj Varna Ham
Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jis Qadar Mile

Tujh Se To Kuch Kalam Nahin Lekin Ae Nadim
Mera Salam Kahiyo Agar Namabar Mile

Tum Ko Bhi Ham Dikhaye Ke Majnu Ne Kya Kiya
Fursat Kashakash-E-Gam-E-Pinhan Se Gar Mile

Lazim Nahi Ke Khijr Ki Ham Pairvi Karen
Mana Ke Ek Buzurg Hamain Ham Safar Mile

Ay Sakanan-E-Kucha-e-Dildar Dekhna
Tum Ko Kahi Jo Ghalib-e-Aashufta Sar Mile


By: Mirza Assadullah Khan Galib

Kishmiish.com 
#Kish-Miish-U-So-Much