Hazrat Ali New Quotes For Facebook Story | Hazrat Ali Quote With Images in Urdu Hindi
Hazrat Ali Jumma Mubarak Quotes and WhatsApp Stories & Facebook Story - In today's post, we will talk about Hazrat Ali's poems, which range from Islamic teachings and life-changing things. Do you read the quotes of Hazrat Ali? If you like, we will keep bringing you more such quotes. The most important thing for us is that we are Muslims and Hazrat Ali has mentioned in his Quotes all the things that are related to our real life. Hazrat Ali has been made by God as his most powerful and who had the most knowledge and power in all of humanity and today we will talk about some invaluable poetry recited in the life of this companion and also share with you. Read 29+ Hazrat Ali Latest Quotes For WhatsApp Status Free Images
In today's post, we have brought all the best quotes of Hazrat Ali which once you listen to it I am sure your life will change and you will feel the urge to do something different in your life. Because all the Muslims of the world are improving their lives through the poetry of Hazrat Ali and all the things that Hazrat Ali has said till date have always proved to be true in life.
Hazrat Ali Said: Jab Aqal Qamil Hojaye To Kalam Kam Hojata hai. |
Dunya Tumhe Uswaqt Tak Nahi Harasakti Jab Tak Tum Khud Se Naa Haar Jao. |
Shak Ko Apne Upar Ghalib Mat Anay Dou Warna Tumhe Dunya Main Koi Hamdard Nahi Mill Sakega. |
Jo Tum Ko Khushi Main Yad Aye Smjho Tum Us Se Muhabbat Karty Ho Or Jo Tum Ko Gham Main Yad Aye To Smjho Wo Tumse Muhabbat Karta Hai. |
Dunya Ka Ameer Shakhs Wo Hai Jiske Dost Mukhlis Hon. |
Agr Koi Apki Fikar Karta Hai To Uski Qadar Karo Kyun Ki Dunya Main Tamashai Ziada Or Fikar Karne Waly Bohat Kam Log Hote Hain. |
Ghaibat Karna Kamzur Aadmi ki Aakhri Koshish Hoti Hai. |
"Dolat'' "Rutba'' or "Ikhteyar'' Milne Se Insan Badalta Nahi Uska Asal Chehra Samne Ajata Hai. |
Muhabbat Dur ke Logo Ko Qareeb Adawat or Qareeb Ke Logo ko Dur Kardeti Hai. |
Buray Insan ki Suhbat Se Parhaiz Karo Kyun ke wo Talwar ki Tarha Hai Dekhne Main Khubsoorat Or Asar Main Khatarnaak Hai. |
Zindagi Ke Har Mor par Sulah Karna Seekho Kyun K Jhukta Wohi Hai Jisme Jan Hoti Hai Akarna To Murde Ki Pehchan Hoti Hai. |
Hazrat Ali Se Ksi Ne Pucha Agr Koi Apna Hamein Bhool Jaye To Kia Kiya Jaye Shair e Khuda ne Farmaya: Koi Apna Ho To Kabhi Nahi Bhoolta Or Jo Bhool Jaye Wo Apna Nahi Hota. |
Na Mukammal ilam Fasaad Peda Karta Hai. |
(Respect) Jahan Apki Izzat Na Ho Wahan Mat Jao Chahy Wahan Khana Apko Sone Ki Plate or Chandu Ke Chamach Main Hi Kyun Na Dia Jaye. |
Zindagi Ke 3 Sunahry Asool Hmesha Yad Rakho: 1- Us Se Mafii Zarur Mango Jise Tum Chahty Ho. 2- Usay mat Choro Jo Tumhe Chahta Hai. 3- Us se Kuch Naa Chupao Jo Tumpy Aitbaar Karta Hai. |
Beshak Dunya or Akhirat Ki Misaal Aisi Hai Jese Aik Shakhs Ki 2 Biwiyan Hon Aik Ko Razi Karta Hai to Dosri Roth Jati Hai. |
Keh Insan Bura Kab Banta Hai?? Farmaya: Jab Wo Apne Apko Dosro Se Acha Samajhne Lagy. |
ilam Tumhe Rah Dikhata Hai Or Amal Tumhe Maqsad Tak Pohncha Deta Hai. |
Saari Dunya Ke Saary Log Tujhe Apne Faidy Ke Liye Chahty Hain Sirf Tera Rab Hee Hai JO Tujhe Tere Faidy Ke Liye Chahta Hai. |
Agr Tum Uswaqt Muskra Sakty Ho Jab Tum Puri Tarha Toot Chuky Ho To Yakeen Jano Dunya Main Tumhe Kabhi Koi Nahi Tor Sakta. |
Dost Ko Dolat Ki Nigah Se Mat Dekho Wafa Karne Waly Dost Aksar Ghareeb Hoty Hain. |
Insaan Ki Tamam Preshania 2 Baton Ki Wajah Se Hain (Taqdeer Se Ziada Chahta Hai) (Waqt Se Pehle Chahta Hai) |
Mardangi Ki Behtren Satah Ye Hai Ke Mard Ki Waja Se Aurat Ki Ankh Main Aansoo Na Aye. |
Ye Zindagi 2 Din Ki Hai Aik Din Tumare Haq Main Or Dosre Din Tumhare Mukhalif, Jisdin Tumare Haq Main Ho Usdin Gharoor Mat Karna, or Jis Din Tumare Mukhalif Ho Usdin Sabar Karna. |
Sabar Aik Aisi Sawari Hai Jo Apne Sawar Ko Girne Nahi Deti Na Kisi Ke Qadmo Main Na Ksi ki Nazro Main. |
Rishton Ko Mazboot Rakhne Ke 2 Raaz: Jab Ap Ghalat Hon To Apni Ghalti Tasleem Karen Jab Ap Sahi Hon To Sirf Khamoshi Ikhteyar Karen. |
Ksi Cheez Se Bilkul Na Umeed Hojana Uski Talab Main Zillat Uthane Se Kahein Behtar Hai. |
Apne Dost Ke Dushman Se Dosti Mat Karo Aisa Karne Se Tum Apne Dost Ke Dushman Ban Jaoge. |
2 Aamaal Aisy Hain Jinka Sawab Kabhi Tola Nahi Jasakta Maaf Karna or Insaaf Karna. |