YouTube Loss Rule Change For Monetization Report In Hindi

          YouTube World Ka Sabse Bada Video Platform Hain. Yaha Daily Lakho Karodo Video Upload Hote Hain. Ye Video Pe YouTube Advertisement Show Karta Hain Use YouTube Or Us Pe Video Upload Karene Wale YouTuber's Lakho Ki Earning Karte Hain. Haal He Main YouTube ke bussiness Main Bada Loss Hua Hain Or use YouTubers Ki Earning Me Bhi Jyada Effect Hoga. !

YouTube Business Ko Kyo Loss Hua ??


       YouTube Google Ka Bahut Bada Business Hain. Or Yeah Puri Tarrah Advertisement Pe Aadharit Hain. Ab Yaha Pe Jo Company YouTube Ko Video Pe Show Karne Ke Liye Ads Deti Hain. Wo Company's ko YouTube pe Trust Nahi Raha Or In Companyo ne YouTube Ko Notic Diya Hain Ke "Unke Ads Faltu, Meaningless & Non Topic Releted Videos Pe Show Kiye Ja Rahe Hain Jise Advertiser ko Fayda Nahi Ho Raha Or Agar YouTube Aisa He Karega to Yeah Sab Company's YouTube Ko Leave Kar Sakti Hain" Kyoki YouTube Pe Upload Hone Wale Faltu Video Pe Biggest Company's Ke Ads Dikhaye Jate Hain Jise Un Company's ko Kuch Fayda Nai Milta Or Finally Kuch Badi Company's Ne YouTube ko Chod Diya Hain Ya Chod Sakti Hain Yeah Sabhi Company's YouTube Ko Advertisement Ke Liye Per Month Lakho Crorodo Rs Deti Hain Ab YouTube Ko Loss Hua Hain. Aisa Nahi Hain Ke Sabhi Companya or Advertiser Ne YouTube Ko Chod Diya Hain. Abhi Bhi Bahut Sare Advertisers or Company's YouTube Ke Saath Business Kar Rahi Hain. Jise YouTube or YouTuber's Ko Earning Ho Rahi Hain But Ab Earning Aadhi Ho Jayegi.!! Par Agar Aisa He chalta Raha To yeah Sab company Bhi Dhire Dhire YouTube Se Dur Ho Jayege. Fir Aap Soch Sakte Hain. Kitna Loss Ho Sakta YouTube Or YouTuber's Ka ..!!!

List Of Advertiser's Who Give Notice YouTube (some Leave)

1. AT&T
2. Verizon
3. Enterprise Holdings
4. Volkswagen
5. UK Government
6. Lloyd Banking Groups
7. Havas
8. Loreal
9. O2
10. McDonald's
11. Tesco
12. Renault
13. Honda
14. Marks and Spencer
15. Channel 4
16. Royal Bank of Scotland
17. J Sainsbury And Argos
18. ITV


YouTuber's Ke Liye Bed News


     Agar YouTube ko Loss Hoga to uspe Kaam Karne Wale YouTuber's Ko Bhi Loss Hoga Yeah Sidhi Baat he. YouTuber's ki Earning Pehle Se Bahut Kam Ho Jayegi Kuch YouTuber's Bata Rahe Hain Ke Aadhi Earning Ho Jayegi.!! Kyoki Ab High paying Company's YouTube se Dur Ja Rahi Hain. Ab YouTube Ne Kuch Nayi Policy Or Rules Nikale Hain Jo YouTubers Ko Bahut Jyada Effect Karte Hain.

 YouTube Make Biggest Change

     YouTube Ab Puri Try Karega ke Sabhi Company's Wapis YouTube Se Jude.YouTube ko Saaf Karne ke Liye "Swaschta Abhiyan" Start Ho Gaya Hain. Policy Or Rules change kiye Gaye Hain. Or Bhi Bahut Change Hone Wale Hain. To Dua Karte Hain Ek Baar Fir Se YouTube Pehle Se Bhi Behter Performance Karega.!!

YouTube New Rules For Monetization

* Video Monetize Ke Liye Channel Pe Minimum 10,000 Views Hone Chaiye.

* 10k views Se Pehle Video Pe Advertisement Show Nahi Hoga Matlb Earnings 00.

* 10k views Ke Baad Monetize Ke Liye Channel Ko Verify Karna Hoga Mtlb YouTube Apke Channel Ko Check Karne Ke Baad Monetize Enable Karega.

* 7 April 2017 ke baad jin Channel Pe 10k Se Kam Views Hain Us pe Ads Show Nahi Hoge.

   Yeah Rules Follow Karna Sabhi YouTuber's Ke Liye Hard Hoga. Sabse Jyada New YouTuber's Ke Liye..! But Ab YouTube Clean & Real Content wala Ban Jayega Jo YouTube Viwers & Advertiser Ko Impress Karega..So Support YouTube.....

  YouTube Ne Or Bhi Naye Rules Apply Kiye Hain Jo Best Ko Or Better Batayega Or Jise Fack Video Banaewale, Copy Karne Wale YouTube Pe Nahi Rah Payege.

* How To Increase YouTube Views TOP Seo Tips Must Read

* New JIo Dhan Dhana Dhan Offer All Information

New Important Rules Of Report ..


1. Any One Report To Impersonating Channel

       YouTube Pe Pehle Agar Kisika Video Content Koi  Copy Kare To  Content(Video) Owner(Jisne Video Banaya Hain) He wahi Report Kar Sakata Tha. Par Ab Koi Bhi Users(Video owner, Viwers, other YouTuber's) Report Kar Sakta Hain.
Ex. Agar Mera Video Koi Copy Kar Raha He Par Muje Pata Nai He To Aap Bhi Report Ke Throw YouTube ko Bata Sakte Ke Yeah Video Copy Kiya Ja Raha Hain.. Jise Aasani Se Copyright Pakad Sake. So Agar Aap Copy Karte He To Khatra Badh Gaya Hain.!!

2. Verify After 10k Views

       10,000 Views Hone Ke Baad YouTube Team  New Channel Ko Pura Check Karega Mtlb Agar Copyright Content Hoga, YouTube T&C ko Follow Nai Karta Hoga To Monetization Available Nahi Hoga Or Channel Bhi Suspended Ho Sakta. So Agar Aisa kych Hain To Channel ko Clean Karle.

3. Repeatited Content

       Agar Koi Ek He Topic Pe, Ek He Baat Pe Bahut Sare Video's Upload Kare To Use Bhi Report Kar Sakte Hain.
Ex. Abhi JIO Chal Raha hai Agar Koi Jio Pe Same Video Bar Bar Banaye to Report Karne Par YouTube Action Lega..!

4. Paid Traffic

      YouTube Video Par Paid Traffic (Paise Dekar Liya Hua Traffic) Lene Par Report Kar Sakte or YouTube Checking Karne Ke Baad Action Lega.

      Toah Yeah Hain YouTube Ka Naya Kadam Ab YouTube Ko Hamari Help Ke Jarurat Hain. Agar Aapko Kuch Aisa Dikhe To Aap Report Karke YouTube Ke Help Kar Sakte..!! YouTube Ko Clean Karne Main Agar Aap Report Karte Hain To Aap Ek Dum Safe Hain Aap Pe Koi Action Nahi Liya Jayega..!! Support YouTube...

      Agar Aapko koi Question Hain To Comment Kare Or Post ko Jyada Se Jyada Share Kare Taki Sabhi ko Yeah Jankari Mil Sake .  Thank You..
Tags