Are you looking for Jumma Mubarak Quotes in Urdu? then you are on the right post!. We have shared the best quotes about Jumma Mubarak that will surely impress you.
Muslims all over the world celebrate Jumma Mubarak every week and especially the last Friday of Ramadan. This day is celebrated with great respect and love for God Almighty. The Muslims gather in mosques to offer special prayers to their Lord and seek His forgiveness for all their mistakes during the holy month of Ramadan.
We have designed beautiful Jumma Mubarak images with quotes which you can free download to celebrate a blessed Jumma Mubarak with friends.
Beautiful Jumma Mubarak Quotes In Urdu with images
Dunya ki sab se behtareen, khobsorat, aur haseen namton me se aik namaz hai. Jo sukon is me hai waisa sukon aur kahin nhin.
دنیا کی سب سے بہترین خوبصورت اور حسین نعمتوں میں سے ایک نماز ہے۔
جو سکون اس میں ہے ویسا سکون اور کہیں نہیں.
Duain karwai nhi jati duain le jati hain. Jitni jaldi insaan is haqeeqat ko samajh le utni jaldi he uski dunya aur akhrat sanwarnay lagti hai.
Rasool Allah Sallalahu alihe wasalam ne farmaya: Jo mujh par darood parhna bhol gia wo jannat ka rasta bhol gia.
Wo aanso bara qemti hai jo khuda kay hazoor gunahon ki maafi kayliay bahe.
Jin logon ko hum apni zindagi me shamil karna hum sirf unhen kay sath dar guzar karna chahtay hain hum sirf unhen kay sath dar guzar kartay hain.
Ya allah is jumma ko hamaray aur hamaray liay bays e rahmat, maghfarat aur hamaray tamam gunahon ki maafi ka zariya bana day.
beshak dilon ka chain aur sukoon allah he kay zikar me hai. Allah apko zameen o asman ki tamam aafat se mehfoz rakhay.
Jumma ki dua kay zariya, hum apnay rab kay qareeb ho jatay hain aur wo hamaray liay apni rahmat ka asmani darwaza khol deta hai.
Kya yeh herat angez nhi hai ke hum apni sari preshani usi kay hawalay kar detay hain aur us kay badlay me, allah hamen nemtain ata karta hai! to bas dua kartay raho aur mujhay bhi apni duaon me yaad rakho.
Jumma kay din farishtay musjid kay darwazon par kharay hotay hain takeh yeh record karen ke jumma ki namaz kayliay kon aata hai.
Maaf karnay aur hosla afzai ki adat banaye, jis tarah aap allah se maafi mangtay hain.
Koi shak nhi ke zindagi thak janay wali chez hai, aur jab aap thak cukhay hain to apnay parwardegar ko yaad rakhen, kyun ke allah ki yaad me he sukon hai.
Ajj ka din muslmano kayliay buht ehm hai. hum buht khosh qismat hain ke allah pak nay hamen youm e jumma ata kya. allah pak hamaray gunahon ko maaf farmay. Ameen
Allah kay aagay ronay walo ko dunya rola nhi sakti.
Jab allah kisi se khosh hota hai to us kayliay neki karna asan aur gunah mushkil bana deta hai.
Beshak zindagi thaka denay wali cheez hai aur jab tum thak jao apnay rab ko yaad karo kyun ke sukon to sirf allah kay zikr me hai.
Kisi se neki kartay waqt badla ki umeed na rakho kyun ke achai ka badla insan nhi allah deta hai.
Agar allah kay han apni hasiyat janna chahtay hoto yeh dekho ke us nay tumhen kis kaam me laga rakha hai.
Agar roh bemar ho to quran pak se behtar koi dawa nhi hai.
Conclusion: A Jumma Mubarak quote is a must have for this special occasion. The quotes can be used as a greeting card to send to your loved ones on the day of Friday. You can also use them as a quote or a wallpaper image on your desktop or mobile screen, which will remind you of the beautiful memories that you have created with friends and family members.