Are you looking for maa (Mother) quotes in Urdu? We are sharing the best Urdu quotes about maa (mother) that will surely touch your heart. Unique Beautiful 54+ Best Maa (Mother) Quotes in Urdu Images Status..
Mothers (Maa) are a source of unlimited support and love. They are the ones who always stand by our side, no matter how much we argue with them or what kinds of mistakes we make. Mothers bring us into the world and teach us everything from how to tie our shoelaces to how to be brave even when times get tough.
In this article, we bring you some of the best quotes about mothers that will really touch your heart!
We have designed the most beautiful images with maa quotes which you can free download to share on Facebook, Instagram, Pinterest, and Twitter to get more followers.
Best Maa (Mother) Quotes in Urdu
Maa kayliay sab ko chor dena laiken sab kayliay maa ko mat chorna kyun ke jab maa roti hai to farishton ko bhi rona aa jata hai.
Maa ki mohabbat hamaliya pahar hai jiski bulandion ko koi naap nhi sakta. yeh woh gehra samandar hai jiski gehraion ka andaza koi nhi laga sakta.
Rok leta hai balaon ko wo apnay uper, maa ka aanchal mujhay jibrael ka par lagta hai.
Yeh keh kar me farishton say jannat me chala jaon ga keh me apni maa kay qadmon kay nishan dhond raha hon.
Jin kay sar pa maan hoti hai, unko zehr say bhi hasil shifa hoti hai
Yeh jo maan ki mohabbat hai na, yeh sab mohabton ki maa hoti hai
Rishton me sabse afzal rishta o darja maa ka hai
Labon pay us kay bad dua nhi hoti, bas aik maa hai jo khafa nhi hoti
Maa na ho to bacha hojum me bhi tanhai mahsoos nhi karta. Maa ka muqadas chehra bachay kayliay kul kainat hai.
Jis dil me maa kayliay mohabbat hai wo zindagi kay kisi mor par shikast nhi kha sakta
Aay raat mujhay maa ki tarah goud me lay lay, din bhar ki mushakat se badan tot raha hai.
Sari raat sotay hoay me nay jannat ki seer ki subah jo aankh khuli to dekha sar maa kay qadmon me tha.
Zindagi kay safar me gardishon ki dhop me jab koi saya nhi milta to yaad aati hai maa.
Jo maa se mahroom ho jatay hain, wahi bata saktay hain ke unhon nay kya khoya aur zindagi kay maani, un kay liay kaisay tabdeel hoay.
Jin ki maa nhi hoti wo khanay ki meez par rotha nhi kartay aur agar wo rothain to unhen koi manata nhi.
Shart lagi thi dunya ko aik lafz me likhnay ki, log kitaben dhondtay rahay, me nay lafz maa likh dia.
Khaliq kay baad jis nay mujhay mukammal kya wo meri maa ki zaat hai.
Kis nay pocha wo kon se jaga hai jahan har ghalti, har gunah aur har jurm maaf ho jata hai. Aik chota sa bacha bola: "Meri maa ka dil"
Maa sab ki jaga lay sakti hai, magar maa ki jaga koi nhi lay sakta.
Log kehtay hain ke kisi aik kay chalay janay se zindagi ruk nhi jati! laiken yeh koi nhi janta keh lakhon kay mil janay se bhi is aik maa ki kami pori nhi ho sakti.