looking for Golden Words (Quotes) in Urdu? we have prepared the best quotes about life in Urdu, 2 line quotes, and golden words of Hazrat Ali that you love. There is a beautiful collection of Islamic golden word images for students and others. You can easily download all Urdu quotes images one by one. Unique Beautiful 111+ Best Golden Words in Urdu - Urdu Quotes Status
The golden word is a short sentence that provides the main idea and key message of your thinking, feelings, and emotions to readers in a better way. As you can see from this article, the best golden words are often simple and straightforward.
Today we are sharing some best quotes in Urdu which you can share with your friends and family on Whatsapp Facebook Twitter Instagram etc.
Best Golden Words in Urdu with images
Jab Sari Dunya muh phair lati hai, to us waqt Allah apkay sath hota hai.
Jab Allah tumhen kinaray par la khara karday to kamil yaqeen rakho, kiunkay 2 chezain ho sakti hain, ya to wo tumhen tham layga ya tumhen urna sikha dega.
Jahan se hamari soch khatam ho jati hai, thik wahan say allah ka faisla shuru hota hai.
Islam itna khobsorat mazhab hai k muskaranay par bhi sawab milta hai aur yahan tak k gusay ki halat me khamosh rehnay par bhi.
Uper uthnay me waqt to lagta hai, chahe suraj hi kiun na ho dheray dheray uthta hai.
Kuch nhi milta is dunya me mehnat kay bagher mujhay apna saya bhi dhop me janay k baad mila.
Manzil to milay gi bhatak kar he sahi, gumrah to wo hain jo niklay he nahi
Din ki roshni kay bajay sahar me aankhon se nami utray to ziada behtar hai, kiunke yahi waqt hota hay phool ki pattion pay shabnam girnay ka.

Parson mehnat se hasil ki gai kamyabi mout aik jhatkay me chen layti hai, kiun na kuch aysa kia jay k mout he kamyabi ki sanad ban jay.
Aurat ki khobsori uska haya hai, zahiri hussan to tawaif khanon say bhi mil jata hay.
Ishq e majazi farud hai, Insan khud say barh kar kisi ko nhi chahta.
Sachay Ashiq e Rasool S.A.W hain to sirat e mustaqim par chalen kiun ke jis dil me ishq e Muhammad S.A.W ho ussay gunahon se dagh dar nhi kia jata.
Paisa chahiay to paisay kay pechnay dornay kay bajay apni skills par tawajha den.
Zahiri hussun nhi, dil ki khobsorti ziada ahm hay kiun ke chehray ki chamak damak beauty cream say bhi mumkin hay.
ظاہری حسن نہیں دل کی خوبصورتی زیادہ اہم ہے
کیونکہ چہرے کی چمک دمک تو بیوٹی کریم سے بھی ممکن ہے۔
Haar aur jeet to apnay andar hoti hai. Man lo to har hai, than lo to jeet hai.
Tumhari kamyabi tumhari khud itemadi me poshida hai.
Zindagi ko samajhna hai to pechay dekho aur zindagi ko jena hay to aagay dekho.
Shesha aur rishta donon nazik hotay hain magar un me aik farq zaror hota hay, shisha hamesha ghalti se totta hai aur rishta ghalat fehmi se totta hai.
Jahan izat sachai aur khalos nazar aay wahan dosti ka hath barhao warna tumhari tanhai tumhari behtareen dost hay.
Jin logon ko maan rakhna na aata ho wo alfaz zai karnay se behtar hay keh insaan muskra kar khamosh ho jay.
Dunya me kabhi kisi achay insaan ko talash mat karna, khud achay ban jana hosakta hay aap kay is kaam say kisi aur ki talash khatam hojay.
Dunya me kabhi kisi achay insaan ko talash mat karna, khud achay ban jana hosakta hay aap kay is kaam say kisi aur ki talash khatam hojay.
Dunya ka sab se khobsorat poda yaqeen ka hota hay jo zameen par nhi dilon me ugta hay.
Hmesha apnay rab se pur umeed rehna kiun ke is pori kainat me jaldi rab razi hota hay utni jaldi koi razi nhi hota.
Urdu quotes about hope
ہمیشہ اپنے رب سے پر امید رہنا کیوں کہہ
اِس پوری کائنات میں جتنی جلدی رب رضی ہوتا ہے
اتنی جلدی کوئی رضی نہیں ہوتا
Namaz ki adat bana lo kamyabi tumhara muqadar hogi.

Khalos aur izat buht nayab tuhfay hain isliay har kisi say umeed na rakho kiunke buht kam log dil kay buht ameer hotay hain.
Hamesha sach bolo takeh tumhen qasam na khani parre.
Har aik ki suno aur har aik se sikho kiunke har koi sab kuch nhi janta magar har koi kuch na kuch zaror janta hai.
Gahri Baten samajhnay kay liay gehra hona parta hay aur giara honay kay liay gehri choten khani parti hain.
Naseeb Kaisa bhi ho Namaz aur Quran se madad lekar Allah se Mago, zaror milay ga.
Namaz ki to wo shan hay jo rook deti hai tawaf e kaba ko, to tare karobar ki kya awqat hai jis kay liay to chor deta hai namaz ko.
Niyat kitni bhi achi ho, dunya tum ko tumharay dikhaway se janti hai. Aur dikhawa kitna bhi acha ho, Allah tum ko tumhari niyat se janta hai.
Kuch daulat pe naaz kartay hain, kuch surat pe naaz kartay hain. Jin kay hathon me daman e Mustafa S.A.W ho wo umati honay pe naz kartay hain.
Ikhlaq wo cheez hai jis ki qimat kuch nhi deni parti, han magar us se har insan kharida ja skta hai.
Darakht jitna oncha hoga us ka saya utna he chota hoga, es liay oncha bannay kay bajay barra bannay ki koshish karo.
wo sab janta hai kis ko kab aur kya dena hai.
Khamoshi ana nhi hoti kuch khamoshian sabar ka hisa hoti hain.
Ilm maal se behtar hai kiun ke tum maal ki hifazat kartay ho, Ilm tumhari hifazat karta hai.
Insan hamesha taklef main he sekhta hai warna khoshi me to pechlay sabaq bhi bhol jata hai.
Kabhi Kabhi Achay logon say bhi ghaltian ho jati hain laken is ka mutlab hargiz nhi kay wo buray log hain balkay yeh matlab hai ke wo bhi insan hain.
Buht dar lagta hai mujhay un logon say jo baton me mithas aur dil main zehr rakhtay hain.
Insan ki tarbiat ka farq hota warna jo sun skta hai, wo suna bhi sakta hai.
logon kay sath to guzara hosakta jin ki tabiyat khrab ho magar un kay sath nhi jin ki tarbiat kharab ho.
Insaniat wo cheez hai jo dushman ko bhi sahara denay par majbor kar deti hai.
Yeh acha hai ke aap ehm ho lakin yeh ziada ehm hai ke aap achay bhi ho.
Waqt kay tamanchay ki der hai, meri faqeri bhi kya teri badshahi bhi kia.
Beshak halat insan kay hath me nahi nahi hain lakin jis kay hath me hain wo buht Raheem hai
Me aaj tak apni khamoshi se nhi pachtaya jab bhi pachtaya apnay bolnay par pachtaya.
Gussy kay waqt insan kay ikhlaq ka sahih pata chalta hai.
Insaniyat wo chez hai jo dushman ko bhi sahara denay par majbor kar deti hai.
Kuch logon ko sirf muaf kia jaskta hai phir na he un par itebar kia ja skta hay na he dil ko saaf kia ja sakta hai.
2 Amal aisay hain jin ka sawab kabhi bhi tola nhi ja skta aik maaf karna aur dosra insaf karna.
Aag laganay walon ko kahan khabar thi rukh hawaon ka badla to khak hum bhi hon gay.
Agar insan kisi sahih rastay par gamzin hai to manzil kay hasool kay liay kii jald bazi ki koi zarorat nhi kiun ke bari kamyabian hamesha deer baad aati hain.
Me nay zindagi me sirf aik he baat sekhi hai ke insan ko koi cheez nhi hara sakti jab tak wo khud har na man lay.
Har tofan apki zindagi ko tabah karnay kay liay nhi aata kuch tofan aap kay rastay saaf karnay kay liay aatay hain.
Mazi badal nhi sakta magar hal aur mustaqbil aaj bhi hamari muthi me hain.
Ilm hasil karna digrian hasil karna nhi balkeh sochnay ki salahiat ko barhana hai.
Dhop ka to bas naam he badnam hai, jaltay to log aik dosray se hain.
Hazrat Maulana Jalaluddin Rumi nay farmaya: Jab insan ki aankhon say aanson behtay hain to us par rab ki rahmat barasti hai.
Khahishat say chutkara bhi naseeb walon ko milta hai.
Gussa machis ki teli hai jo dosron ko jalanay se pehlay khud jalti hai.
Burra hamesha wahi banta hai jo acha ban kar tot chuka ho.
Yani tum nazar andaz karo hamesha aur hum intezar karen musalsal.
Kuch logon me demak jaise salahiat hoti hai, kha jatay hain dosron ko.
Mukhtasar raho lakin mukhlis raho.
Jin ka bharosa Allah ho Unki manzil kamyabi hai.
Yahan Allah kay hukam kay mutabiq nazren jhuka kay rakhen gay to wahan insha allah sar utha kay chal sako gay.
Sach bolnay say insan ko zehni pareshanion say nijat milti hai aur us ka dil halka ho jata hai.
Arsh walay se rabtay mazbot ho to farsh walay kuch nhi bigar saktay.
Kuch Ajeeb hai yeh dunya yahan jhot se nhi such se rishtay tot jatay hain.
Jhanknay ki behtareen jaga apna giraban hai aur rahnay ki sahih jaga apni auqat hai.
Un logon say mat daro jo apna badla lena jantay hain, hamesha un logon say daro jo apna muamla Allah par chor denay walay hain.
Insan wo chez jo akar jay to mar jata hai aur agar jhuk jay to bulandi par puhnch jata hai.
Sabar rakho har cheez asan honay say pehlay mushkil hoti hai.
Na mehram larki se nafsani khaheshat say pak muhabbat koi mard kar he nhi sakta.
Jis nay dard chupana sekh lia us nay jena sekh lia
Gunah par nidamat gunah ko mita deti hai, neki par gharor neki ko tabah kar deti hai.
lamba dhaga aur lambi zaban hamesha ulajh jati hai, es liay dhaga lapait kar aur zaban samet kar rakhen.
2 chehray insan ko kabhi nhi bholtay aik mushkil me sath denay wala aur aik mushkil me sath chornay wala.
Manzalen chahen kitni he onchi kiun na hon, rasta hamesha paron kay nechay hota hai.
Gussa hamesha aisay shakhs par aata hai jo apnay say kamzor jabkeh apnay se taqatwar shakhs par koi gussa kaise kar sakta hai.
Badla lenay se pehlay yeh zaror dekh lia karo k tum apnay Allah kay nazdek kitnay qasor war ho.
Waqt kay sath sath buht kuch badal jata hai log bhi, rishtay bhi, ehsas bhi, aur kabhi kabhi hum bhi.
Kisi bazurg nay kaha jo shakhs subuh kay waqt asman par taray dekhay ga us ki qismat ka tara hamesha chamkay ga.
Maan kay bina pora ghar bikhar jata hai par baap kay bina pori dunya he bikhar jati hai.