Facebook Account Deactivate or Delete kaise karey
Facebook Account ko Delete kyu karey
Dosto Agar Aapne koi Dusra Facebook Accounts banaya hai Aur Agar Aap Uska Use nahi karte ho to Achha Ye hi hoga ki Aap Ush Accountt ko delete kar do,Agar Aap Aisa nahi karte ho to ho sakta hai ki koi dusra banda Ush accountt ko Hack karke Misuse kar sakta hai.Joki Baad me Hamare liye Sirdard ban sakti hai.Note:-Facebook Account Delete karne ke baad Aap kabhi bhi Apne Account ko Recover nahi kar sakte
Facebook Account ko Deactivate kyu karey
(i)Bahut si baar Dosto Aisa hota ki Hum Jaise ki kisi link par click karte hai to uska link hamare Saare Group me Send ho jata hai Jiski Vajah se Hamari Reputaion Loose ho jati hai Social Site par,Jaise Dosto Mai Apne Baare me hi batata hu Ek Baar maine "Zeroliker Autoliker" ke link par click kar diya tha Uske Baad jitne bhi mere Group the Un sabhi me Zeroliker ka link send hone lag gaya,Phir Maine Apna Facebook Accountt Kuch dino ke liye Deactivate kar diya.(ii)Agar Dosto kisi Important Work ki Vajah se Aap Apne fb Account se Mind ko Divert karne ke liye bhi apne Facebook Account ko deactivate kar sakte ho.
Note:-Fb Account Deactivate Karne Ke baad,Aap Jab Chahe Apne Facebook Accountt ko login karke Apne Fb Account ko Recover kar sakte hai.
Facebook Account ko Deactivate kaise karey
Dosto Facebook Account Deactivate karne par Apke fb account ko koi Friend nahi dekh sakta.Aur Iski Sabse Achhi Baat ye hai ki Aap Apne Fb Accountt ko Kabhi bhi recover kar sakte ho Sign karke.Bahut si Baar Aisa hota hai ki Hum kisi Important Exam or Work par Hardwork kar rahe hote hai lekin fb Notification ki vajah se Mind Divert hota rahta hai.To Chalo Dosto Ab mai Apko Batata hu ki Fb Accountt ko Kuch dino ke liye Band Kaise karte haiStep 1:-Sabse Pahle Apne Facebook Account ko login karey.
Step 2:-Ab "Setting" par Click karey.
Step 3:-Ab "Security" par Click karey,Aur Uske Baad "Deactivate Your Account" ke Samne jo "Edit" hai Ush par Click karey.
Step 4:-Ab "Deactivate Your Account" par Click karey.
Step 5:-Ab Isme "Reason" Choose karey ki kis vajah se Aap Apna Facebook Account
Uske Baad "Deactivate" par click karey.
Ab apka Facebook Account Successfully deactivate ho gaya hai.
Facebook Account Delete kaise karey
Step 1:-Facebook Account Delete karne ke liye Sabse pahle Delete Fb Account Par click karey.Step 2:-Ab "Delete My Account" par click karey.
Step 3:-Ab apna Facebook Ka "Password" Enter Karey.Aur Uske niche jo "Text Word" hai usko Niche Box me Daalo.
Step 4:-Ab "Ok" par click karey.
Apka Account 14 Days me delete ho jayega,Aap in 14 days me apne fb accountt ko delete hone se rok sakte ho,Agar Aapne Apne Fb Account ko 14 days me Login karke nahi roka to Aapka fb account Permanent Band ho jayega,