Home BLOGGER Https ki help se Blogger(Blogspot) blog ki Security kaise badhaye? Https ki help se Blogger(Blogspot) blog ki Security kaise badhaye?

Https:-

Blogger(Blogspot) blog ki security ke liye Https ka bahut important role hai,https ka pryog high secure sites me hota hai jaise ki Vo sites jinpar hum paise transfer karte hai,Form bharte hai.
Vaise to Blogger Blog high secure hai,Jiski security khud Google karta hai.Phir bhi Google ne Https Enable option provide kara diya hai.Jiski help se aap Dugni Security kar sakte ho apne Blogger(Blogspot) ki.

Read-Instagram par 5000 se bhi jyada followers kaise paaye free me?

HTTP Kya hai ?:-

Http ki full form hai Hyper text transfer protocol  hai jiska upyog Server aur Client ke beech me Information Exchange karne ke liye hota hai,Iska Upyog URL me Starting me hota hai,Ye "GET" medium se Information ko transfer aur recieve karta hai.Ab main apko http ka Example deta hu jaise ki

HTTPS Kya hai ?:-

Https ki full form hai Hyper text transfer protocol secure hai,jiska upyog bank dvara ,Government website dvara,Security agency dvara kiya jata hai,Bank Dvara Https ka pryog online Payment Transactions Security ke liye pryog kiya jata hai,Apne dekha bhi hoga jab aap Online Payment Karte ho to HTTPS green ho jata hai jiska matlab hota hai ki site Secure hai,Government ishka upyog Document ki Security purpose se karti hai,Taki kisi document ho Hackers hack na kar le.


Http vs Https(Http aur Https me kya difference hai ?):-

Http aur Https to Dosto maine Explain kar hi diya hain,Ab main Apko Batata hu ki inme koan sa Achha hai Dosto Jin Sites ke starting me"Http://" hota hai Un Sites ka kuch bharosa nahi Hackers Ush sites ki Information ko Hack Kar sakte hai,Ya phir Full Website ko bhi hack kar sakte hai.Jab koi User "Http://" Wali Site par apni Information Kisi Dusre User ke Sath Online Share karta hai to Beech me hi unki Information Hack ho sakti hai.Agar Koi Badi Company hai Jiski Website URL "Http://" se Start hota hai Aur Yadi vo Apni Important information kisi Dusri Company Ke sath Online Share karti hai to Ush Site ki information Beech me Hacker bhi Chura sakta hai.

Ex:-

Dosto Https Ki Security Http ki Compare ma Dugni Hoti hai,Https Double layer Security Provide karata hai Site Owner ko,Https ka Pryog Jyadatar Bank,Government Sites karti hai, Https 90% secure hoti hai,jo sites Https se start hoti hai Unka Data Kaphi Secure hota hai,Aur Hackhers Ke liye bahut muskil hai Ush Sites ki Information Hack Karni Https Doguni Secure hoti hai Http ki compare me.Http me Certificate ki Jarurat nahi hoti jabki Https me SSL Certificate ki Jarurat hoti hai.Agar aapka Blog hai aur ush par https enable nahi hai to hacker apke blog ko hack kar sakta hai aur apke Blog traffic ko kisi dusri site par bhi pahucha sakta hai,Jo ki Apke Blog ki Security ke liye Khatra hai.Https Site ya Blog vo hote hai jo "Https://" se start hote hai.

Ex:-Https://Www.Gradeupadda.com/

Blogger(Blogspot) Blog me Https kaise Set karey:-

Step 1:-Sabse pahle aap www.blogger.com par Jaye.

Step 2:- Ab Gmail Email Id fill karey aur "Next" par Click kare,Ab Password fill karey aur "Sign In" par Click karey.

Https ko Blogger me kaise submit karey?


Step 3:-Ab apne Blog Ki Setting Me jaye aur "Basic"  par click karey,Ab "Https Redirect" me"Yes" select karo aur "Save" par click karey.

Https ko Blogspot me kaise set karey?


Congratulations.....Aapne "Https" apne blogger blog par Successfully set Set kar liya hai,

Note:-Dosto Ye trick Custom Domain par Kaam nahi karegi.
Agar Apka Https set nahi hua hai to aap niche comment karey main apni taraph se puri koshish karunga apki problem solve karne ki,Agar apko ye Article Achha laga hai,to aap Facebook,Twitter,Linkedin etc. par apne Dosto ke sath share kar sakte hai.



Tags